Posts

Ghar

Ghar ki yaad bahut hai aati Ae maa, manzilo ke darwaaze teri chaukhat se hoke guzrte hai Maa ki sachai mere jeevan ki disha bani Pita ka pyaar meri takat  Ghar ki yaad bahut hai aati Aaj ghar se dhoor, galtiyo ki beech Apni maa aur pita ki goad mai sojau Un shabdon ko wapis lelu Jinse dil toote kae Zindagi bhi wahi yaad dilati hai Jisse bhulne ki chah mai Jeevan beet gaye Kaash tum hote mere pass Ae maa, manzilo ke darwaaze teri chaukhat se hoke guzrte hai Aaj bhi Ghar ki yaad aati hai bahut 

Kal, Aaj, Kal

Ateet se poocho kyun milwaya Aaj se poocho kiske liye rulaya Kal se poocho doobara kab milwayega Yeh to safar humesha ka tha na? Fir aaj ki raah pe kaise bhoolgaya usse Joh kal tak bahoon mai tha Yeh toh bata zindagi, kal kab milega jiske liye aaj rulaya tha

Safar- Kuch Apna Sa

Kuch Apna sa Kuch Paraya sa Kuch pyaara sa Kuch Rootha sa Yeh Safar kuch alag tha, yeh waqt kuch naya tha Jaha se hua shuru, wahi pe aaj khatam hua Yeh safar kuch alag sa tha Kuch Apna sa Kuch Paraya sa Kuch pyaara sa Kuch Rootha sa

Raah!

Tere saath meri puri dhuniya aise choothi Tere raah mujhse roothi, Zindagi ki daur thamsi gayi, Bahut hai chahne wale magar teri yaad se mera daman aaj bhi bhiga! Tere saath meri puri dhuniya aise choothi Tere raah mujhse roothi, aaj bhi akeli, aaj bhi tanha Bas do pal mere saath bitale tu toh kayi saalo ka fassla kam hojata hai Dhuniya ki raah bhi tu Meri dhuniya ki chaah bhi tu

Manzoor

Manzoor hai teri har guztakhi  Manzoor hai teri berukhi Nadan hai yeh dil, majboor hai yeh dil. Rukzat karte hai pyaar ke uss rishto ko Jaha Mohabbat sirf ek lavz aur saath ek samjhauda tha Teri yaad mai, royen hum, toote hum Manzoor hai Teri har guztakhi  Manzoor hai Teri berukhi  Ruswah kiye chale jate hai, alvida likhte jate hai. Sirf Mohabbat nahi, aaj zindagi se bhi rukzat lete hai.  Tera jhoota pyaar Manzoor tha Hume. Teri guztakhi Manzoor thi Hume Teri berukhi manzoor thi hume. 

Ehsaas

Tumhare us dard ka ehsaas hai hume Tumhare is tanhai ka ehsaas hai hume Yakin hai ki jisne tumhe choda hai Usse pane ki chah aaj bhi apne dil mai liye ghumte ho Badnaseeb ho tum, jo dhoor uski aas rakhe hue ho, jiske hooth tumhara naam aur haath tumhara damaan chood chuke Teri woh ruswai yaadhai hume Teri woh berukhi gulzar hai hume Tumhare us dard ka ehsaas hai hume Tumhare us tanhai ka ehsaas hai hume

Waqt

Kya waqt tha woh  Kya lamha tha woh  Kuch kamzor tum the Kuch kamzor hum the Tere bina din na badle;  Un lamho ka daur aaj bhi s ang chale Sirf tere anne ka hai intezaar  Aaj socha tujhe bhulu  Tere yad se mera daaman na bhigau. Lekin kismat ne aaj milwaya hume  Mujhe dekh ke do pal toh tum bhi ruke the Aaj socha tujhe bhulu Tere aankhon ne mujhe is baat ka ehsaas dilaya,  Hum saath na rehkar bhi saath hosakte hai Tum meri yaadon mai aur mai tumhari  Aaj socha tujhe bhulu Itne saalo baad bhi mai sochu, Kya waqt tha woh Kya lamha tha woh Kuch kamzor tum the Kuch kamzor hum the