Posts

Showing posts from November, 2020

Ghar

Ghar ki yaad bahut hai aati Ae maa, manzilo ke darwaaze teri chaukhat se hoke guzrte hai Maa ki sachai mere jeevan ki disha bani Pita ka pyaar meri takat  Ghar ki yaad bahut hai aati Aaj ghar se dhoor, galtiyo ki beech Apni maa aur pita ki goad mai sojau Un shabdon ko wapis lelu Jinse dil toote kae Zindagi bhi wahi yaad dilati hai Jisse bhulne ki chah mai Jeevan beet gaye Kaash tum hote mere pass Ae maa, manzilo ke darwaaze teri chaukhat se hoke guzrte hai Aaj bhi Ghar ki yaad aati hai bahut 

Kal, Aaj, Kal

Ateet se poocho kyun milwaya Aaj se poocho kiske liye rulaya Kal se poocho doobara kab milwayega Yeh to safar humesha ka tha na? Fir aaj ki raah pe kaise bhoolgaya usse Joh kal tak bahoon mai tha Yeh toh bata zindagi, kal kab milega jiske liye aaj rulaya tha

Safar- Kuch Apna Sa

Kuch Apna sa Kuch Paraya sa Kuch pyaara sa Kuch Rootha sa Yeh Safar kuch alag tha, yeh waqt kuch naya tha Jaha se hua shuru, wahi pe aaj khatam hua Yeh safar kuch alag sa tha Kuch Apna sa Kuch Paraya sa Kuch pyaara sa Kuch Rootha sa