Posts

Showing posts from June, 2018

Waqt

Kya waqt tha woh  Kya lamha tha woh  Kuch kamzor tum the Kuch kamzor hum the Tere bina din na badle;  Un lamho ka daur aaj bhi s ang chale Sirf tere anne ka hai intezaar  Aaj socha tujhe bhulu  Tere yad se mera daaman na bhigau. Lekin kismat ne aaj milwaya hume  Mujhe dekh ke do pal toh tum bhi ruke the Aaj socha tujhe bhulu Tere aankhon ne mujhe is baat ka ehsaas dilaya,  Hum saath na rehkar bhi saath hosakte hai Tum meri yaadon mai aur mai tumhari  Aaj socha tujhe bhulu Itne saalo baad bhi mai sochu, Kya waqt tha woh Kya lamha tha woh Kuch kamzor tum the Kuch kamzor hum the

Tu kaun tha

Tu kaun tha? Kuch wasta tha ya fir bas yuh hi? Shayad maine der kardi. Ek ummar laegegi tujhe bhulane mai. Ek pal laga tumse pyaar karne mai. Sach hai- kuch safar uski manzil se zyada zaruri hota hai. Humesha tu mere saath chal. Tu kaun tha? Tune shayad socha, par kuch kaha nahi. Maine socha, magar kuch keh na saka. Humesha ke liye rakhlu tujhe in aankho ke palko mai. Magar dar lagta hai kahi mere aansu na nikalgaye- tu kahi beh na jaye. Ek ummar laegegi tujhe bhulane mai. Ek pal laga tumse pyaar karne mai. Humesha tu mere saath chal.  Tu kaun tha? Tere aane se sab badla badla kyun lagne lagta hai? Ek khat tujhe likha hai, magar tera paigam nahi aya. Teri bewafai ko kya samjhun? Kuch wasta tha ya fir bas yuh hi? Khidki ke us shishe se bahar dekhte hua, bas tu he yaad ata hai. Ek ummar laegegi tujhe bhulane mai. Ek pal laga tujhse pyaar karne mai. Ek baar milu agar toh shayad khud ko na rok pau. Tu pyaar se gale laga le, fir poori ...

Kuch din. Kuch Shame

Kuch din, kuch shame akeli guzairi hai maine, Tujhe dekhne ka man ho toh bhi Tujhe chuna ka man kare toh bhi Tere awaaz ko sune ke liye tarsu, Kuch din, kuch shame akeli guzairi hai maine. Miloon dhoor aise baithe ho jaise kuch na hua ho Aankhen bhigadhi maine, tumhari yaad mai Cahah fir hum mile, kahi chale, kuch sune Aisa laga tum ho yahi. Magar tumne na dekha Shayad woh kuch na tha, shayad yeh kuch nahi hai. Kuch din, kuch shame akeli guzairi hai maine. Agar tum bhi sochrahe ho jo mai soch raha hu, Toh lafzo mai bayan kardo. Woh kehte hai tum bahut acha likhte ho, do lafz mere bhi naam kardo. Milo door aise baithe ho jaise kuch na hua ho, Kuch din, kuch shame akeli guzairi hai maine.